Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts

Tuesday, May 8, 2012

Yeh kehna k chaand nikalta hai baam pr ab bhi

Aseer-e-dasht-e-wafa ka
na maajra kehna,
Tamam poochhne walon ko bs dua kehna..
Ye kehna k rat guzrti hai ab bhi aankhon me,
Tumhari yaad ka qaaim hai silsila kehna..
Yeh kehna k chaand nikalta hai baam pr ab bhi,
Mgr nahi woh shab ka ab maza kehna..
Ye kehna k
hum ne hi toofan me daal di kashti,
Qasoor apna hai darya ko kya bura kehna??
Yeh kehna k tum se bichhr k
bikhar gaya hun main,
K jesy hath se
gir jaey "AAYENA" kehna...

Friday, April 27, 2012

Kanch ke Ghar

=>Toot jaty hain bikhar jaty hain,
Kanch k ghar me muqaddar "APNE", . .
Ajnabi to sada pyar se miltey hain,
Bhool jatay hain to aksr "APNE"*

Uski Sitam Nawaziyan

Nahi tha zor uski sitam Nawaziyon ka magr,
Mujhe b hoslay mere Khuda se milay,
Meri ana kyun kehti hy bar bar mujhe,
Wo Mohabat hi kya jo iltaja se milay...

Main Ne Ulfat K Taqazon Ko Nibhaya Aksar

Main Ne Ulfat K Taqazon Ko Nibhaya Aksar,
Aur Logon Ne Mera Dard Barhaya Aksar,
Main Ne Toottey Huwe Logon Ko Uthana Chaha,
Aur Logon Ne Sar-e- Raah Giraya Aksar,
Main Ne Chahat Ko Zamane Mei Tamasha Na Kiya,
Apne Dhalte Huwe Ashkon Ko Chupaya Aksar,
Yun Tere Tark-e-Talluk Se Shikayat Kesi,
Chorrh Deta Hai Mera Saath Bhi Saaya Aksar...