Main Ne Ulfat K Taqazon Ko Nibhaya Aksar,
Aur Logon Ne Mera Dard Barhaya Aksar,
Main Ne Toottey Huwe Logon Ko Uthana Chaha,
Aur Logon Ne Sar-e- Raah Giraya Aksar,
Main Ne Chahat Ko Zamane Mei Tamasha Na Kiya,
Apne Dhalte Huwe Ashkon Ko Chupaya Aksar,
Yun Tere Tark-e-Talluk Se Shikayat Kesi,
Chorrh Deta Hai Mera Saath Bhi Saaya Aksar...
No comments:
Post a Comment